YMI – Yeh Mera India – Baasuri Ke Sur Mein Itana Dard Kyun Hai Song Lyrics

This Bollywood movie released in the year 2009 and was directed and written by Mr N.Chandra. The star cat for the film is inclusive of Perizaad Zorabian, Anupam Kher, Purab Kohli, Sarika, Seema Biswas and Rajpal Yadav in pivotal roles. The music composition for the songs of the film is done by Siddharth, Kavita Seth and Suhas.

Album: YMI – Yeh Mera India

Song: Baasuri Ke Sur Mein Itana Dard Kyun Hai


Lyrics

Kabhi socha hai ke baasuri ke sur mein itana dard kyun hai
Kabhi socha hai ke sukhe iss sharir mein itana ehsaas kyun hai
Kabhi chhuti thi yeh daali apane patton se
Kabhi tuti thi yeh daali yeh apane shaakhon se
Phir aaj bhi hawa ke jhonke se iss ro/lau par yeh machalat kyun hai
O o o o……..
Kabhi socha hai ke baasuri ke sur mein itana dard kyun hai

(Honto se lagaalo toh chehak uthati hai
Ungaliyon ke chhune se yeh behak uthati hai) – (2)
Par jakhm se usake aaj bhi nigalati sirf tarz kyun hai
O o o o……..
Kabhi socha hai ke baasuri ke sur mein itana dard kyun hai

(Apano ne hi chalaayi thi kulhaadi iss par
Phir usine chhedi thi raag dhaani iss par) – (2)
Apana hi tha yeh insaan phir bhi itana khudgarj kyun hai
O o o o……..
Kabhi socha hai ke baasuri ke sur mein itana dard kyun hai
Kabhi socha hai ke sukhe iss sharir mein itana ehsaas kyun hai
Kabhi chhuti thi yeh daali apane patton se
Kabhi tuti thi yeh daali yeh apane shaakhon se
Phir aaj bhi hawa ke jhonke se iss ro par yeh machalat kyun hai
O o o o……..
Kabhi socha hai ke baasuri ke sur mein itana dard kyun hai